Ishrat moin Seemaa

barishon mein bhigne ki ab mujhe fursat nahin

Ishrat moin Seemaa

bārishoñ meñ bhīgne kī ab mujhe fursat nahīñ
mausamoñ ke rañg meñ pahlī sī vo hiddat nahīñ
talḳhiyāñ masrūfiyat ne kuchh baḌhā diiñ is qadar
sach kahūñ shīrīñ-dahan se mujh ko to nafrat nahīñ
husn kī taqsīm meñ hī rah ga.ī koī kamī
DhūñDhtā hai dil jise vo shahr meñ sūrat nahīñ
chāhtā hai jī ki ye bhī saath ho aur vo bhī ho
kyā kareñ par jeb meñ is aish kī qīmat nahīñ
roknā thā daur-e-avval hī ke na.aroñ ko vahāñ
ab junūn-e-shahr par pāoge tum qudrat nahīñ
dil to dil kājal bhī ab to lab-kushā hone lage
is liye 'sīmā' tire alfāz kī hājat nahīñ
Top Urdushayar.com