is chashm-e-nam se manzar-e-hairāñ chalā gayā
ḳhvāboñ kā ik jahān-e-gulistāñ chalā gayā
shahroñ meñ aa ke bas ga.e haivān jis ghaḌī
ġhāroñ meñ phir se aaj insāñ chalā gayā
kuchh vasvasoñ meñ aise kaTī umr-e-be-amāñ
is zindagī se rishta-e-īqāñ chalā gayā
shartoñ pe āj-kal to nibhāte haiñ āshiqī
tab hī to chāhatoñ se ye paimāñ chalā gayā
zāhid kī kuchh hikāyateñ sun kar lagā mujhe
bas diin rah gayā yahāñ īmāñ chalā gayā
ye dhaḌkaneñ tumhārī to 'sīmā' fareb haiñ
dil se agar jo jazba-e-ehsāñ chalā gayā