terā va.ada hai sabab dil ke bahal jaane kā
mausam hijr meñ har phuul ke khil jaane kā
ḳhāmushī aag lagātī hai mire chāroñ or
mujh ko afsos hai alfāz ke jal jaane kā
qatl gāhoñ meñ rakhe aa.ine dekhe to kahā
kitnā sāmān thā qātil ke dahal jaane kā
umr-e-rafta ke har ik taaq pe jaltā hai diyā
tum se milne kā bichhaḌne kā sambhal jaane kā
mausam-e-hijr ho yā vasl kī vo raat hasīñ
'sīmā' dhaḌkā sā lagā rahtā hai Dhal jaane kā