yaad hai ghar kī dīvāroñ ko sahārā karnā
un se rātoñ meñ faqat zikr tumhārā karnā
jaane vaale ne abhī raḳht-e-safar bāñdhā hai
tum bhī ab zahr-e-judā.ī ko gavārā karnā
ghar kī dahlīz pe rakh denā diyā jaltā huā
lauT aane kā bas itnā hī ishāra karnā
aql samghā.egī dil lagtī dalīleñ de kar
phir bhī hargiz na kabhī ishq dobāra karnā
us ne tasvīr mujhe dī hai ye kah kar 'sīmā'
achchhī yādoñ se na hargiz tū kināra karnā