Ishrat moin Seemaa

mausam bhi yaad-e-yar mein dil-gir ho gaya

Ishrat moin Seemaa

mausam bhī yād-e-yār meñ dil-gīr ho gayā
tanhā.iyoñ se merī baġhal-gīr ho gayā
dāman pe mere daaġh lagāne kī zid meñ vo
kirdār kī vo apne hī tash.hīr ho gayā
bachchoñ ne mujh ko ghar se nikalne nahīñ diyā
rishta ye mere paañv kī zanjīr ho gayā
marne se us ko apne kabhī Dar nahīñ lagā
jiinā jab us ke vāste ta.azīr ho gayā
allāh ne rat-jagoñ kī duā.eñ qubūl kī
vo ḳhvāb mere ḳhvāb kī ta.abīr ho gayā
aañsū meñ Dhal ke zer-e-lahad kho gayā kahīñ
yā dard ban ke dil se baġhal-gīr ho gayā
'sīmā' ulajh ga.ī hai siyāsat ke jaal meñ
dil kā mo.āmla thā jo gambhīr ho gayā
Top Urdushayar.com