Mubarik Siddiqi

koi dard hai jo abhi dawa nahin ho saka

Mubarik Siddiqi

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
koī dard hai jo abhī davā nahīñ ho sakā
vo bichhaḌ gayā hai magar judā nahīñ ho sakā
koī hai ḳhalish jo khaTak rahī hai abhī mujhe
koī sher hai jo abhī bapā nahīñ ho sakā
vo mile agar to use kahūñ ai gulāb shaḳhs
koī tujh sā kyā tirī ḳhāk-e-pā nahīñ ho sakā
tire ba.ad phir mirī mausamoñ se banī nahīñ
tire ba.ad maiñ kabhī phir harā nahīñ ho sakā
sar-e-bazm haiñ yahī tazkire ki burā huuñ maiñ
mirā jurm hai ki maiñ bevafā nahīñ ho sakā
isī baat par mirī dostoñ se hai dushmanī
maiñ amīr-e-shahr kā ham-navā nahīñ ho sakā
kisī aur shab maiñ sunā.ūñgā ye ġhazal tumheñ
abhī aañkh nam abhī dil duā nahīñ ho sakā
tire ishq meñ koī jaañ bhī le to bhī jān-e-jāñ
maiñ yahī kahūñgā ki haq adā nahīñ ho sakā
Top Urdushayar.com