Mubarik Siddiqi

kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain

Mubarik Siddiqi

Lahore, Punjab, Pakistan

1963
kuchh aise log bhī duniyā meñ paa.e jaate haiñ
jahāñ bhī jaa.eñ diye vo jalā.e jaate haiñ
ye āzmā.isheñ yuuñ hī atā nahīñ hotīñ
jo log ḳhaas hoñ vo āzmā.e jaate haiñ
hameñ husain se paiġhambaroñ se nisbat hai
ham is liye bhī bahut dil dukhā.e jaate haiñ
vo shaḳhs sūrat-e-ḳhurshīd jab nikaltā hai
to rañg-o-nūr meñ ham bhī nahā.e jaate haiñ
use bhī pyaar hai un se jo dil-shikasta hoñ
so us kī bazm meñ ham bhī bulā.e jaate haiñ
maiñ apne dil se pareshān huuñ kidhar jā.ūñ
jo bevafā the use yaad aa.e jaate haiñ
to kul milā ke mujhe baat ye samajh aa.ī
jo nek log hoñ aksar satā.e jaate haiñ
duā salām na hadd-e-adab na ijz-o-ḳhulūs
ye mere shahr meñ ab kaun aa.e jaate haiñ
ajiib log haiñ shā.ir bhī ye ḳhudā jaane
koī sune na sune ye sunā.e jaate haiñ
mirā yaqīn hai ye ḳhāmushī ye gahrā sukūt
ye log ḳhud nahīñ aate ye laa.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com