aabid umar

ye kya paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki

aabid umar

Kasur, Punjab, Pakistan

1977
ye kyā paḌī hai tujhe dil jaloñ meñ baiThne kī
ye umr to hai miyāñ dostoñ meñ baiThne kī
chhupā.ī jaatī nahīñ zardiyāñ so duur huuñ maiñ
vagarna hotī hai ḳhvāhish guloñ meñ baiThne kī
shumār merā bhī karte haiñ log in meñ magar
mirī majāl kahāñ shā.iroñ meñ baiThne kī
abhī na uñglī uThā mujh pe thoḌī mohlat de
tamīz siikh rahā huuñ baḌoñ meñ baiThne kī
mujhe badal ke koī aur hī banā diyā hai
ki intihā hai ye sūrat-garoñ meñ baiThne kī
dikhā rahe haiñ tavātur se ḳhāmiyāñ merī
bhagat rahā huuñ sazā ā.inoñ meñ baiThne kī
nahīñ majāl kisī kī ki muntashir kar de
banā chuke haiñ jo aadat safoñ meñ baiThne kī
ḳhazāne luTte raheñge ye ḳhālī hone tak
ujaaḌ degī ye aadat gharoñ meñ baiThne kī
ḳhudā atā kare ohda baḌā ġharīb ko aur
badal sake na vo ḳhū naukaroñ meñ baiThne kī
ḳhushāmadī nahīñ rakhtā hai apne kaam se kaam
to kyā paḌī hai tujhe afsaroñ meñ baiThne kī
ye dil scan karānā bahut zarūrī hai
ki ittilā.a hai tire dhaḌkanoñ meñ baiThne kī
hayāt sū-e-adam le ke jā rahī haiñ 'umar'
jo ādateñ haiñ ga.e mausamoñ meñ baiThne kī
Top Urdushayar.com