Sardar Panchhi

tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
tum ho mujrim ham haiñ mulzim chalo nayā insāf kareñ
tum bhī hameñ muāfī de do ham bhī tumheñ muaaf kareñ
phir ujlī kursī par baiTheñ mulzim kā insāf kareñ
pahle munsif gañgā-jal se apnī niyyat saaf kareñ
jis ne jitne qatl kiye haiñ un kā vo iqbāl kare
maiñ maqtūloñ se kah dūñgā ab vo use muaaf kareñ
ye bhī marham hai zaḳhmoñ kā hākim aur jallād sabhī
dañgā-pīḌit har bastī kā nañge pair tavāf kareñ
kuchh zahrīle aḳhbāroñ ne sab ko mere ḳhilāf kiyā
un meñ himmat ho to mere rab ko mire ḳhilāf kareñ
aane vaalī nasloñ ko ye detī raheñgī dars-e-vafā
na.e musavvir tasvīroñ meñ merā lahū muzāf kareñ
ik-dūje ke aañsū le leñ ik-dūje ko ḳhushiyāñ deñ
pyaar kī sham.a kā ye ujālā aao har atrāf kareñ
vote na becheñ kyuuñ bechāre bas kambal ke badle meñ
jo sardī meñ apnī chamḌī bistar kareñ lihāf kareñ
taḳht-nashīnoñ ke qadmoñ par bose dene vaale ab
ek nazar merī qurbānī par bhī to ausāf kareñ
bādal farz-shanās nahīñ hai qaid hai yā zanjīroñ meñ
shabnam ke qatre hī pyāse 'panchhī' par altāf kareñ
Top Urdushayar.com