maalī udaas hai na ye gulshan udaas hai
āñdhī meñ sirf ek nasheman udaas hai
jamunā ke tiir bajtī hai 'nīrū' kī bāñsurī
'rāñjhe' kā desh 'hīr' kā madhūban udaas hai
mujh ko sakhī kā imtihāñ lenā thā le liyā
merī balā se gar mirā dāman udaas hai
mahloñ meñ rahne vaale zarā hoshiyār baash
mahloñ kī samt dekh ke nirdhan udaas hai
ab ai luTe musāfiro ma.alūm to karo
rahbar ko kyā huā hai jo rahzan udaas hai
pairoñ kī dhuul māthe kā chandan banī to kyuuñ
bas ye hī soch kar to barahman udaas hai
bad-shakl eqtidār ko bad-shakl kyuuñ kahā
darbār-e-adl meñ bhī ye darpan udaas hai
ambar se kah do bādaloñ ko ab rihā kare
jhūloñ kī rut hai bahnoñ kā āñgan udaas hai