duā kiije vo bargad aur bhī phūle-phale barsoñ
ki jis kī chhāñv meñ ham aap se milte rahe barsoñ
koī jugnū bhaTaktā aa gayā to aa gayā varna
charāġh-e-qabr ban kar ham akele hī jale barsoñ
ye sañg-e-mīl bhī pahle koī bhaTkā musāfir thā
jise apnī hī manzil DhūñDne meñ lag ga.e barsoñ
ye sar jo kaaT kar Tāñge ga.e haiñ in fasīloñ par
isī ātish-bayānī se raheñge bolte barsoñ
ajab sī mausamī fitrat hai apne devtāoñ kī
nahīñ pahchānte vo ham jinheñ puujā kiye barsoñ
na tum hoge na ham hoñge na apnī mahfileñ 'panchhī'
ḳhalā meñ gūñjte rah jā.eñge ye qahqahe barsoñ