Sardar Panchhi

de ke dastak shabab aata hai

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
de ke dastak shabāb aatā hai
bin-bulā.e hijāb aatā hai
pahle āñkhoñ meñ ḳhvāb aatā hai
tab kahīñ inqalāb aatā hai
phir to rahtī nahīñ nadī beva
jab pahāḌoñ se aab aatā hai
sāqiyā tere bāda-ḳhāne meñ
sirf izzat-ma.āb aatā hai
kaise mil pā.egī hameñ jannat
vā.izoñ ko hisāb aatā hai
aise aate haiñ vo mirī jānib
jaise jām-e-sharāb aatā hai
vo bhī aate haiñ baam par aise
jis tarah māhtāb aatā hai
un ke hisse meñ aa.iiñ ta.abīreñ
mere hisse meñ ḳhvāb aatā hai
din meñ kar lo sabhī diye raushan
un ke ruḳh par naqāb aatā hai
tohfa deñge tumheñ jo phūloñ kā
ham ko bhī intiḳhāb aatā hai
tum chaloge jo simt-e-mai-ḳhāna
pīchhe 'panchhī'-janāb aatā hai
Top Urdushayar.com