maut ke hāthoñ to merā ye badan mar jā.egā
maiñ magar us din marūñgā jab ye man mar jā.egā
sar-nigūñ haiñ sūliyāñ mere lahū ke sāmne
tum samajhte the ki merā bāñkpan mar jā.egā
sarhadī paTTī pe us kī laash pahchānegā kaun
jo vatan kī sar-zamīñ par be-vatan mar jā.egā
merī qurbānī zarūrī hai agar zinda rahā
jaan dene kā salīqa aur fan mar jā.egā
chāñd maarī kījiye lekin gulāboñ par nahīñ
aaj to ḳhushbū maregī kal chaman mar jā.egā
dekh lījegā anāḌī bāġhbāñ ke haath se
khurpiyoñ ke zaḳhm khā khā kar chaman mar jā.egā
duur āñkhoñ se na jā ab ai sarāb-e-zindagī
dard ke sahrā meñ aashā kā hiran mar jā.egā
rāj-naitik baniye gar DanDī yuuñ hī maarā kiye
har adālat meñ tarāzū kā chalan mar jā.egā
dījiye tahzīb ko taaza havā varna habīb
'mīr' ke ash.ār 'mīrā' kā bhajan mar jā.egā
barq se 'panchhī' nasheman ko bachāne ke liye
ek Thokar maar dūñgā to gagan mar jā.egā