sanam ke ḳhayāloñ meñ yuuñ kho gayā huuñ
ki maiñ ek patthar kā but ho gayā huuñ
nahīñ dho sakā daaġh jo gañgā-jal bhī
use apne ashkoñ se maiñ dho gayā huuñ
bajā.e shajar ugte haiñ sirf patthar
maiñ zarḳhez dhartī meñ kyā bo gayā huuñ
nahīñ aañch aa.egī apnī anā par
bulāyā thā us ne tabhī to gayā huuñ
karoge mujhe dafn to yuuñ lagegā
ki maiñ maañ kī godī meñ hī so gayā huuñ
vaz.a-dārī kā paas thā jo chaman meñ
maiñ kaliyoñ kā sar chūmne ko gayā huuñ
mujhe faḳhr hai 'panchhī' bazm-e-suḳhan meñ
gayā huuñ ba-sūrat ġhazal-go gayā huuñ