Sardar Panchhi

hansi hansi mein koi khel chal raha hoga

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
hañsī hañsī meñ koī khel chal rahā hogā
saḌak pe phir koī insān jal rahā hogā
bahut udaas haiñ hākim agar to shahr mirā
kisī fasād ke sāñche meñ Dhal rahā hogā
jo garm chhīñTe havāoñ ke saath aate haiñ
kisī kī aañkh kā paanī ubal rahā hogā
añdherī raat meñ Tapkā thā ḳhūn-e-dil jis meñ
usī charāġh se sūraj nikal rahā hogā
kuñvārī laash kī āñkhoñ meñ jhāñk kar dekho
hasīn ḳhvāb abhī tak machal rahā hogā
vahīñ vahīñ pe chaleñge ye tez ḳhanjar bhī
jahāñ jahāñ tirā aḳhbār chal rahā hogā
badal rahī hai qafas meñ havā agar 'panchhī'
to maqtaloñ meñ bhī mausam badal rahā hogā
Top Urdushayar.com