Sardar Panchhi

wo hirasat mein jo insan liye jate hain

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
vo hirāsat meñ jo insān liye jaate haiñ
apnī tafrīh kā sāmān liye jaate haiñ
kal jise ghar se uThā le ga.ī ḳhākī vardī
aaj māñ-bāp use shamshān liye jaate haiñ
ba.ad muTh-beḌ ke tamġhe ye taraqqī dekho
marne vaale hī kā ehsān liye jaate haiñ
jism chhalnī hai magar haath rahe siine par
haa.e dil meñ koī armān liye jaate haiñ
kyā pata un ko kitābeñ haiñ ki vish kī puḌiyāñ
bhar ke baste meñ jo nādān liye jaate haiñ
ye bhajan gaane meñ hī mast kiye band āñkheñ
aur ghar lauT ke mehmān liye jaate haiñ
ek ma.asūm kā sar kaaT ke phir devī se
apnī ḳhush-hālī ke vardān liye jaate haiñ
nīm-behosh hai ghāyal hai qafas meñ 'panchhī'
aur par noch ke shaitān liye jaate haiñ
Top Urdushayar.com