Sardar Panchhi

apni man ki duaen pata hun

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
apnī maañ kī duā.eñ paatā huuñ
is liye hī to muskurātā huuñ
pyaar kī bhuuk jab satātī hai
dostoñ se fareb khātā huuñ
ye bhī mere liye ibādat hai
rāstoñ meñ diye jalātā huuñ
log farhād mujh ko kahte haiñ
ghar meñ jab jū-e-shīr laatā huuñ
mujh ko patthar habīb lagtā hai
jab use hāl-e-dil sunātā huuñ
us se maiñ kuchh bhī le nahīñ saktā
jab vo kahtā hai le maiñ daatā huuñ
mere ġham mere bachchoñ jaise haiñ
maiñ jinheñ god meñ khilātā huuñ
vo hī jaḌvātā hai añgūThī meñ
jis kisī ko maiñ raas aatā huuñ
log samjhe ki ashk bahte haiñ
maiñ to āñkhoñ se giit gaatā huuñ
dūsre se nahīñ ġharaz mujh ko
maiñ to bas apne man ko bhātā huuñ
merī āñkheñ haiñ merī shāgirda
sharm karnā jinheñ sikhātā huuñ
lutf-e-parvāz lene kī ḳhātir
man ke 'panchhī' ko ḳhud uḌātā huuñ
Top Urdushayar.com