Sardar Panchhi

taDapne ki ijazat jazba-e-bismil se milti hai

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
taḌapne kī ijāzat jazba-e-bismil se miltī hai
jo dil mushtāq ho to phir zarā mushkil se miltī hai
vo haq sach kī ibārat paḌhne se mahrūm rahte haiñ
ki jin ko raushnī kī lau ruḳh-e-bātil se miltī hai
mujhe zinda jalā.e tujh ko bhī zinda hī dafnā.e
mire qātil kī fitrat bhī tire qātil se miltī hai
chakorī dekh le tū bhuul jaa.e chāñd ko taknā
dil-e-muztar ko jo taskīn kaale til se miltī hai
ye donoñ juḌvāñ bhaa.ī haiñ nahīñ is meñ shub.h kyūñki
mire mansab kī sūrat bhī mire qātil se miltī hai
kisī attār se milnā to 'panchhī' hai bahut mushkil
jo dil-āvez ḳhushbū husn kī mahfil se miltī hai
Top Urdushayar.com