Sardar Panchhi

aas jis ki jawan hoti hai

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
aas jis kī javān hotī hai
us kī ūñchī uḌaan hotī hai
jo qalam ābid-e-adab Thahrā
us kī hī ān-bān hotī hai
tiir lagtā hai dil ke Thiik uupar
jab nazar meñ kamān hotī hai
rañg taqdīr kā badal jaa.e
jab vafā mehrbān hotī hai
yaad aatī hai jis ghaḌī us kī
vo ghaḌī imtihān hotī hai
bin kahe bin sune ye dil samjhe
baat jo darmiyān hotī hai
bad-nasībī sukūn se so.e
jab savere azaan hotī hai
hai buland us kā parcham-e-qismat
jis pe tū mehrbān hotī hai
vo hī chhūte haiñ āsmāñ 'panchhī'
jin paroñ meñ bhī jaan hotī hai
Top Urdushayar.com