kisī sabab se agar boltā nahīñ huuñ maiñ
to yuuñ nahīñ ki tujhe sochtā nahīñ huuñ maiñ
maiñ tum ko ḳhud se judā kar ke kis tarah dekhūñ
ki maiñ bhī ''tum'' huuñ, koī dūsrā nahīñ huuñ maiñ
to ye bhī tai! ki bichhaḌ kar bhī log jiite haiñ
maiñ jī rahā huuñ! agarche jiyā nahīñ huuñ maiñ
kisī meñ koī baḌā-pan mujhe dikhā.ī na de
ḳhudā kā shukr ki itnā baḌā nahīñ huuñ maiñ
mirī uThān kī har iiñT maiñ ne rakkhī hai
maiñ ḳhud banā huuñ! banāyā huā nahīñ huuñ maiñ
yahāñ jo aa.egā vo ḳhud ko haar jā.egā
qimār-ḳhāna-e-jāñ meñ nayā nahīñ huuñ maiñ
mire vajūd ke andar mujhe talāsh na kar
ki is makān meñ aksar rahā nahīñ huuñ maiñ
maiñ ek umr se ḳhud ko talāshtā huuñ magar
mujhe yaqīn nahīñ, huuñ bhī yā nahīñ huuñ maiñ
maiñ ik gumān kā imkāñ huuñ 'iftiḳhār'-muġhal
ki ho to saktā huuñ lekin huā nahīñ huuñ maiñ