kabhī kabhī to ye hālat bhī kī mohabbat ne
niDhāl kar diyā mujh ko tirī mohabbat ne
tirī ye pahlī mohabbat hai tujh ko kyā ma.alūm
ghulā diyā mujhe is āḳhirī mohabbat ne
vo yuuñ bhī ḳhair se sarmā kā chāñd thī lekin
use ujaal diyā aur bhī mohabbat ne
mujhe ḳhudā ne adhūrā hī chhoḌnā thā magar
mujhe banā diyā ik shaḳhs kī mohabbat ne
ye tum jo mere liye ḳhvāb chhoḌ aa.ī ho
tumheñ jagāyā to hogā mirī mohabbat ne
maiñ jis ko pahle pahal dil-lagī samajhtā thā
mujhe to maar diyā is na.ī mohabbat ne
ye apne apne nasīboñ kī baat hai varna
kisī ko 'mīr' banāyā isī mohabbat ne
ye jism-o-jān ye nām-o-numūd hasb-o-nasab
ye saare vahm the izzat to dī mohabbat ne
mohabbat aur ibādat meñ farq to hai naañ
so chhīn lī hai tirī dostī mohabbat ne