Iftikhar Mughal

koi wajud hai duniya mein koi parchhain

Iftikhar Mughal

Muzaffarabad, Pakistan

1961
koī vajūd hai duniyā meñ koī parchhā.īñ
so har koī nahīñ hotā kisī kī parchhā.īñ
mire vajūd ko maano to saath chaltā huuñ
ki maiñ to ban na sakūñgā tumhārī parchhā.īñ
yahī charāġh hai sab kuchh ki dil kaheñ jis ko
agar ye bujh gayā to aadmī bhī parchhā.īñ
ka.ī dinoñ se mire saath saath chaltī hai
koī udaas sī ThanDī sī koī parchhā.īñ
maiñ apnā-āp samajhtā rahā jise tā-umr
vo mere jaisā hayūlā thā merī parchhā.īñ
na ḳhush ho koī bhī tezī se baḌhtī qāmat par
pas-e-ġhurūb na hogī bichārī parchhā.īñ
gumān-e-hast hai hastī kā ā.īna-ḳhāna
so apne-āp ko bhī jaan apnī parchhā.īñ
maiñ nisf sach kī tarah huuñ bhī aur nahīñ bhī huuñ
ki aadhā jism hai merā to aadhī parchhā.īñ
phir us se us ke taġhāful kā kyā gila karnā
ki 'iftiḳhār-muġhal' vo to thī hī parchhā.īñ
Top Urdushayar.com