Iftikhar Mughal

rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar

Iftikhar Mughal

Muzaffarabad, Pakistan

1961
rakh-rakhāv meñ koī ḳhvār nahīñ hotā yaar
dost hote haiñ, har ik yaar nahīñ hotā yaar
do ghaḌī baiTho mire paas, kaho kaisī ho
do ghaḌī baiThne se pyaar nahīñ hotā yaar
yaar! ye hijr kā ġham! is se to maut achchhī hai
jaañ se yuuñ hī koī bezār nahīñ hotā yaar
ruuh suntī hai mohabbat meñ badan bolte haiñ
lafz pairāya-e-iz.hār nahīñ hotā yaar
naukrī, shā.irī, ghar-bār, zamāna, qadreñ
ik mohabbat hī kā āzār nahīñ hotā yaar
ḳhush-dilī aur hai aur ishq kā āzār kuchh aur
pyaar ho jaa.e to iqrār nahīñ hotā yaar
laḌkiyāñ lafz kī tasvīr chhupā letī haiñ
un kā iz.hār bhī iz.hār nahīñ hotā yaar
aadmī ishq meñ bhī ḳhud se nahīñ ghaT saktā
aadmī sāya-e-dīvār nahīñ hotā yār!!
gher letī hai koī zulf, koī bū-e-badan
jaan kar koī giraftār nahīñ hotā yaar
yahī ham aap haiñ hastī kī kahānī, is meñ
koī afsānvī kirdār nahīñ hotā yaar
Top Urdushayar.com