Iftikhar Mughal

ruKHsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha

Iftikhar Mughal

Muzaffarabad, Pakistan

1961
ruḳhsat-e-yār kā mazmūn ba-mushkil bāñdhā
dil na bañdhtā thā kisī taur baḌā dil bāñdhā
ham ne bhī bāñdh liyā ziist kā asbāb vahīñ
jab sunā yār-e-safar-dār ne mahmil bāñdhā
ham ne us chehre ko bāñdhā nahīñ mahtāb-misāl
ham ne mahtāb ko us ruḳh ke mumāsil bāñdhā
aur kyā bāñdhte sāmāñ meñ ba-hañgām-e-safar
sirf dāman meñ ḳhas-e-kūcha-e-qātil bāñdhā
ham jo har gaam se paimān-e-vafā bāñdhte the
āḳhirash ham ne bhī azm-e-sar-e-manzil bāñdhā
Top Urdushayar.com