yuuñ tirī raah meñ paḌe hue haiñ
jaise dargāh meñ paḌe hue haiñ
ġham haiñ jitne bhī is zamāne ke
merī ik aah meñ paḌe hue haiñ
mere bachchoñ ke ḳhvāb to filhāl
chhoTī tanḳhvāh meñ paḌe hue haiñ
bach ke nikle jo maut ke muñh se
yād-e-allāh meñ paḌe hue haiñ
kab kisī kī huī hai ye duniyā
ham abas chaah meñ paḌe hue haiñ
ḳhaak honā nasīb hai lekin
hashmat-o-jāh meñ paḌe hue haiñ
ik nazar ham pe mahvish-e-āzam
tere kunjāh meñ paḌe hue haiñ
kuchh ġharaz hī nahīñ jise ham se
us kī parvāh meñ paḌe hue haiñ
jin ko zindāñ meñ honā chāhiye thā
hujra-e-shāh meñ paḌe hue haiñ
aap se ham-kalām hai 'ābid'
log kyoñ vaah meñ paḌe hue haiñ