tere abrū kī ajab bait hai haalī ai shoḳh
jis meñ hai matlab-e-dīvān hilālī ai shoḳh
gauhar-e-ashk kuuñ hai halqa-ba-goshī kā ḳhayāl
gar lage haat tire kaan kī baalī ai shoḳh
rūh-e-farhād bhī ḳhush ho ke miThā.ī bāñTe
gar sune tujh lab-e-shīrīñ satī gaalī ai shoḳh
jab señ dekhī hai ḳhat-e-sabz meñ tere lab-e-surḳh
tab señ sabze meñ chhupī paan kī laalī ai shoḳh
shahr meñ ulfat-e-sahrā hai mujhe dāman-gīr
kyā qayāmat haiñ tirī chashm-e-ġhazālī ai shoḳh
masnad-e-matlab-e-dil par mire kar mohr-e-qubūl
mansab-e-lutf kā mañgtā huuñ bahālī ai shoḳh
bas ki tasvīr tirī naqsh kiyā dil meñ 'sirāj'
parda-e-chashm hai fānūs-e-ḳhayālī ai shoḳh