Siraj Aurangabadi

wo zulf hai to harf-e-tatar-o-KHutan ghalat

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
vo zulf hai to harf-e-tatār-o-ḳhutan ġhalat
is lab ke hote nām-e-aqīq-e-yaman ġhalat
aayā hai jab señ baaġh taraf vo kitāb-rū
tab señ huā hai safha-e-barg-e-saman ġhalat
baiThe suḳhan meñ va.ada-ḳhilāfī kā bol kyuuñ
hargiz nabol' bol ai shīrīñ-dahan ġhalat
Dartā huuñ us bhavoñ ke ishārat señ dam-ba-dam
hotā nahīñ hai saif-zubāñ kā suḳhan ġhalat
raushan hai ai 'sirāj' ki faanī hai sab jahāñ
mutrib ġhalat hai jaam ġhalat anjuman ġhalat
Top Urdushayar.com