nazar azāboñ meñ ghir ga.ī hai suḳhan sarāboñ meñ aa gayā hai
sunā hai ab ke bahār-mausam ḳhizāñ kī bātoñ meñ aa gayā hai
ye kyā ġhazab hai ki jis ne ahd-e-bahār chāhā na ishq dekhā
nizām-e-hijr-o-visāl saarā usī ke hāthoñ meñ aa gayā hai
bahār to ik muġhālta hai ḳhizāñ kī rū-posh hairatoñ kā
jo is tilism-e-jahāñ se guzrā vo dāstānoñ meñ aa gayā hai
vo jis ke dāman meñ shā.erī thī bahār-lahje kī luT-luTā kar
ai rabb-e-lafz-o-bayāñ vo shā.er tirī panāhoñ meñ aa gayā hai
bahār kyā ab ḳhizāñ bhī dekhe ġhurūr-e-husn-e-suḳhanvarī meñ
jo āsmānoñ meñ jā basā thā zamīñ ke qadmoñ meñ aa gayā hai
bahār-rut meñ bichhaḌ ke tujh se jo dil pe guzrī vo dil hī jaane
hameñ to itnā patā hai yaaro lahū tak āñkhoñ meñ aa gayā hai