Ilyas Ishqi

ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

Ilyas Ishqi

-2007
ye bahār vo hai jahāñ rahī asar-e-ḳhizāñ se barī rahī
jo salīb-o-dār meñ Dhal ga.ī vahī chob-e-ḳhushk harī rahī
milī jab kabhī ḳhabar-e-jahāñ to jahāñ se be-ḳhabarī rahī
kisī aur se nahīñ kuchh gila ḳhajil apnī dīda-varī rahī
vahī ik ḳharābī-e-be-karāñ jo tire jahāñ kā nasīb hai
isī rust-o-ḳhez se aaj tak mire dil meñ be-ḳhatarī rahī
mirī zindagī kī urūs-e-nau tujhe is kī koī ḳhabar bhī hai
vo thī kis kī surḳhī-e-ḳhūn-e-dil tirī maañg meñ jo bharī rahī
koī qarya koī dayār ho kahīñ ham akele nahīñ rahe
tirī justujū meñ jahāñ ga.e vahīñ saath dar-badarī rahī
vahī aag apnā nasīb thī ki tamām umr jalā kiye
jo lagā.ī thī kabhī ishq ne vahī aag dil meñ bharī rahī
vahī ik sadāqat-e-harf thī khilī phuul ban ke jo aag meñ
vahī ik dalīl-e-hayāt thī jo gavāh-e-bā-ḳhabarī rahī
na asar fusūñ koī kar sakā na vo mere dil meñ utar sakā
koī aks hī na ubhar sakā rahā shīsha aur na parī rahī
maiñ halāk-e-lazzat-e-guftugū hī sahī magar ise kyā karūñ
jo farāz-e-dār se kī ga.ī vahī ek baat kharī rahī
hunar aaj 'ishqī'-e-be-navā kā ḳhajil hai rūh-e-'sirāj' se
vahī ik ḳhalish jo matā-e-fan thī subūt-e-be-hunarī rahī
Top Urdushayar.com