Ilyas Ishqi

prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba

Ilyas Ishqi

-2007
prīt-nagar kī riit nahīñ hai aisā ochhā-pan baabā
itnī sudh-budh kis ko yahāñ jo soche tan-man-dhan baabā
un kī koī Thor nahīñ hai sāñjh kahīñ haiñ bhor kahīñ
priit ke roge banjāre haiñ bastī ho yā ban baabā
laakh jatan se juḌ na sakegā pahle batā.e dete haiñ
TuuT gayā to TuuT gayā bas man kā ye darpan baabā
us kī bālak-haT ke aage ghar chhoḌā bairāg liyā
dekheñ kyā din dikhlātā hai ab ye mūrakh man baabā
biin jo apne paas na hotī ham jogī bhī bhaTak jaate
kyā kyā ruup badal kar aa.ī maayā kī nāgan baabā
ham jo magan haiñ dhyān meñ apne us ko bhī dhokā jaano
kis se suljhī saañs ke tāne-bāne kī uljhan baabā
ab dukh-sukh kā bhed batāne aa.e ho jab 'ishqī' kā
priit dharm hai priit karam hai priit se hai jīvan baabā
Top Urdushayar.com