samjhāne vāloñ ne kitnā un ko samjhāyā logo
phir bhī dhokā dil vāloñ ne hir-phir kar khāyā logo
nagrī nagrī phirā musāfir dukhī rahī kaayā logo
vīrāne meñ chain se soyā pā ke ghanā saayā logo
raajā parjā gyānī mūrakh jag se ḳhālī haath ga.e
kis ko ḳhabar kis ne kyā khoyā kis ne kyā paayā logo
fāsle kī aur vaqt duurī dil kā qurb miTā na sakā
kaisā kaisā pyārā chehra dhyān meñ dhundlāyā logo
kahāñ talak hai us kā tānā-bānā ye mālūm nahīñ
saañs kī is uljhī Dorī ko kis ne suljhāyā logo
in āñkhoñ ne jo kuchh dekhā kaun use sach mānegā
vaqt kī dhuup meñ chāñd sā chehra kaise suno laayā logo
duniyā-dārī kā har pahlū barat ke dekhā 'ishqī' ne
gāñTh girah kī kho kar us ne sab kuchh bhar paayā logo