Ilyas Ishqi

ishqi-sahib likhna hai to koi nai tahrir likho

Ilyas Ishqi

-2007
'ishqī'-sāhib likhnā hai to koī na.ī tahrīr likho
ab tak tum ne ḳhvāb likhe ab ḳhvāboñ kī ta.abīr likho
is uljhan ko suljhāne kī kaun sī hai tadbīr likho
ishq agar hai jurm to mujrim rāñjhā hai yā hiir likho
jahāñ bhī qasr-e-shīrīñ dekho 'ḳhusrov' kī jāgīr likho
koh jahāñ haa.el huā us par ḳhuuñ se jū-e-shīr likho
dasht se āzādī kī havā.eñ un ko bulāne aatī haiñ
ahl-e-junūñ ko rokne vaalī kaun sī hai zanjīr likho
shahr-e-suḳhan ke izzat-dāro kuchh to kisī kā paas karo
koī to hogā jis ko āḳhir tum sāhib-e-tauqīr likho
ham-vatanoñ ke dard kā darmāñ aisā kuchh dushvār nahīñ
nām-e-vatan hai ism-e-āzam ḳhāk-e-vatan iksīr likho
apnī kamandeñ pheñk ke jis ko qaid kiyā hai zulmat ne
vo sūraj kab ubhregā kab phailegī tanvīr likho
...apne ahd kī saffākī par ye ḳhāmoshī tanz nahīñ
koī to hogā is kā sabab kyuuñ baiThe ho dil-gīr likho
jab tak sar se ḳhuuñ na bahegā koh-kanī hai ḳhaam ḳhayāl
teshe ko ḳhallāq kaho yā patthar ko tasvīr likho
Dhā de jo insān ke dil meñ rañg o nasl kī dīvāreñ
koī to dastūr-e-mohabbat aisā ālamgīr likho
har har daur ke likhne vaale hāshiye us ke likhte haiñ
apne ahd meñ nusḳha-e-dil kī tum bhī koī tafsīr likho
harf kī tāqat be-pāyāñ hai harf ke haiñ imkān bahut
harf ko zinda karnā sīkho phir chāhe taqdīr likho
dil par jis ke naqsh na ubhrīñ vo kyā abrū kaisī nazar
kitnā hī tum tiir nazar ko abrū ko shamshīr likho
raushan kaise hogā savād-e-harf jo ḳhūn-e-dil na jalā
charba tum 'ġhālib' kā utāro chāhe ba-rañg-e-'mīr' likho
apne dukhḌe likh likh kar dīvān to tum ne jam.a kiyā
dil ko jo badle ab koī aisā sher-e-pur-tāsīr likho
Top Urdushayar.com