garche qalam se kuchh na likheñge muñh se kuchh nahīñ boleñge
phir bhī julūs-e-dār chalā to saath ham us ke ho leñge
vaqt aayā to ḳhuun se apne dāġh-e-nadāmat dho leñge
sāya-e-zulf meñ jāgne vaale sāya-e-dār meñ so leñge
kaun se sāhil par ye safīne apnā lañgar kholeñge
ruḳh pe havā ke ho leñge to dariyā dariyā Doleñge
jin mallāhoñ ko tūfāñ se tund havā ne paar kiyā
kyā ab sāhil par aa kar vo apnī naav Dubo leñge
jab bhī dasht-e-vafā meñ raqs-e-ābla-pā yaañ hovegā
ahl-e-vafā us se pahle hī raah meñ kāñTe bo leñge
lafzoñ se ehsās kā rishta jis lamhe tak qaa.em hai
sachche samjho yā jhūTe kuchh motī ham bhī piro leñge
nafsā-nafsī ke aalam meñ kaun kisī kā haath baTā.e
apnā apnā bojh hai 'ishqī' fardan-fardan Dho leñge