Siraj Aurangabadi

muskura kar aashiqon par mehrbani kijiye

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
muskurā kar āshiqoñ par mehrbānī kījiye
bulbuloñ kī pās-e-ḳhātir gul-fishānī kījiye
ishq ne az-bas diyā hai zard-rañgī kā rivāj
arġhuvānī āñsuoñ kuuñ zāfrānī kījiye
mai-kash-e-ġham kuuñ shab-e-mahtāb hai mū-e-safed
mausam-e-pīrī meñ sāmān-e-javānī kījiye
hijr kī rātoñ meñ lāzim hai bayān-e-zulf-e-yār
niind to jaatī rahī hai qissa-ḳhvānī kījiye
yār-e-jānī to zamāne meñ nipaT kam-yāb haiñ
kījiye dushman agar apnā to jaanī kījiye
mat ho ai dil tuuñ sadā bulbul hazāroñ phuul kā
ek baaqī būjhiye baaqī kuuñ faanī kījiye
sab samundar muttafiq ho mujh kuuñ kahte haiñ 'sirāj'
shola-rū ke vasf meñ ātish-bayānī kījiye
Top Urdushayar.com