Nazir Al-Husaini

sukut-e-lab ko shikasta-dili samajhte hain

Nazir Al-Husaini

sukūt-e-lab ko shikasta-dilī samajhte haiñ
ye kam-nigāh fareb-e-ḳhudī samajhte haiñ
jo tīrgī meñ bhaTakte haiñ rahnumā haiñ vo
jo raushnī hai use tīrgī samajhte haiñ
nizām-e-kohna kā paḌhte haiñ vo qasīda phir
jo raqs-e-maut ko bhī zindagī samajhte haiñ
tabassum-e-lab-e-jānāñ se khelne vaale
ġham-e-vafā ko ġham-e-zindagī samajhte haiñ
sajā.e jaate haiñ dāman ko aaj kāñToñ se
ḳhayāl-e-gul ko matā-e-kalī samajhte haiñ
junūñ kī daad bhulā deñge kyā ḳhirad ke ġhulām
jo zinda-dil haiñ use zindagī samajhte haiñ
ye zarf apnā hai 'nāzir' ki is zamāne ne
jo ġham diyā hai use ham ḳhushī samajhte haiñ
Top Urdushayar.com