Nazir Al-Husaini

subh-e-daraKHshan apne watan mein KHwab-e-pareshan apne watan mein

Nazir Al-Husaini

sub.h-e-daraḳhshāñ apne vatan meñ ḳhvāb-e-pareshāñ apne vatan meñ
kaif-e-musalsal raqs-e-bahārāñ jalva-e-ḳhandāñ apne vatan meñ
Duub rahī hai nabz-e-hastī TuuT rahā hai saañs kā jaadū
lail-o-nahār-e-zīst yahī hai dard hai darmāñ apne vatan meñ
ahl-e-junūñ ko fāqa-mastī ahl-e-ḳhirad ko ishrat-e-hastī
dekh ke ye tauqīr-e-insāñ aql hai hairāñ apne vatan meñ
aaj havas kā naam mohabbat aur mohabbat vaj.h-e-kulfat
ḳhulq hai mahñgā apne vatan meñ pyaar hai arzāñ apne vatan meñ
dil meñ kasak aur lab par aaheñ aañkh meñ aañsū sar meñ saudā
husn kī duniyā ḳhandāñ ḳhandāñ ishq hai giryāñ apne vatan meñ
bhuul jā 'nāzir' apnā maazī aish-e-guzishta ḳhvāb thā goyā
tere muqaddar meñ hai Thokar tū hai pareshāñ apne vatan meñ
Top Urdushayar.com