hai dard meñ Duubī huī tahrīr kī āvāz
vijdān ko chhū letī hai tasvīr kī āvāz
tanhā.ī meñ āñkhoñ se nikal aate haiñ aañsū
goyā hai fazā meñ kisī dil-gīr kī āvāz
dīvāna-e-hastī ke liye ek haiñ donoñ
pāzeb kī jhankār ki shamshīr kī āvāz
yaad aayā hai jab sāneha zindān-e-balā kā
ubhrī dar-o-dīvār se zanjīr kī āvāz
lag jaatī hai jab rāh-e-pur-asrār meñ Thokar
ham us ko samajh lete haiñ taqdīr kī āvāz
taḳhrīb-pasandoñ ne vo tūfān uThāyā
is shor meñ kho jaa.e na ta.amīr kī āvāz
naġhmoñ kā asar hotā hai arbāb-e-tarab par
'nāzir' ko rulā detī hai zanjīr kī āvāz