Siraj Aurangabadi

charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
charāġh-e-mah siiñ raushan-tar hai husn-e-be-misāl us kā
ki chauthe charḳh par ḳhurshīd hai aks-e-jamāl us kā
sanam kī zulf ke halqe meñ hai jyuuñ jiim kā nuqta
ajab hai ḳhush-numā us āriz-e-gulgūñ pe ḳhaal us kā
ayaañ hotā hai jyūñ-kar sarv paanī ke kināre par
huā yuuñ jalva-gar āñkhoñ meñ qadd-e-naunihāl us kā
judā jab siiñ huā vo dilbar-e-jādū-nazar mujh siiñ
judā hotā nahīñ yak aan ḳhātir siiñ ḳhayāl us kā
mujhe hai aarzū dil meñ tirī chāh-e-zanaḳhdāñ kī
nahīñ darkār hauz-e-kausar o āb-e-zulāl us kā
giraftār-e-havas kyā lazzat-e-dīdār kuuñ paave
judā jo kuī huā hai aap siiñ paayā visāl us kā
'sirāj' ai shola-rū hai kaun sā so maiñ nahīñ vāqif
mujhe kyā pūchhtā hai pūchh parvāne siiñ haal us kā
Top Urdushayar.com