raunaq tumhāre dam se hai lail-o-nahār kī
tum aabrū ho āmad-e-fasl-e-bahār kī
lafzoñ meñ ham bayāñ nahīñ kar pā.eñge kabhī
kaise sahar huī hai shab-e-intizār kī
aa jā ki tere ahd-e-vafā kā bharam rahe
rah jaa.e aabrū bhī mire e'tibār kī
har moḌ par likhā hai mirā haal jān-e-man
kyā kaifiyat batā.ūñ dil-e-be-qarār kī
ham tum se duur rah ke tumhāre haiñ aaj bhī
ham ne to aise riit nibhā.ī hai pyaar kī
ahl-e-chaman kī aañkh se aañsū nikal paḌe
mausam ne ruḳhsatī jo sunā.ī bahār kī
jo sab pe rahm karte haiñ is kā.enāt meñ
rahmat unhīñ pe hotī hai parvardigār kī
un ke baġhair dil kā ye aalam hai ab 'suman'
bujhtī huī huuñ sham.a maiñ jaise mazār kī