ḳhud meñ hī Dūbtī ubhartī huuñ
jaane kis ko talāsh kartī huuñ
dil meñ jiine kī aarzū le kar
maiñ ka.ī baar roz martī huuñ
bhar na jaa.e ye zaḳhm ai dil merā
is liye chheḌ-chhāḌ kartī huuñ
tum yuuñ hī aa.ina bane rahnā
maiñ tumheñ dekh kar sañvartī huuñ
ḳhāmushī mujh ko raas aatī hai
is liye toḌne se Dartī huuñ
bhāgtī huuñ vajūd se apne
aur kabhī ḳhud hī ḳhud pe martī huuñ
kyuuñ yahāñ huuñ kahāñ hai ab jaanā
ḳhud se aksar savāl kartī huuñ
maiñ gurezāñ huuñ ḳhud se kuchh aise
apne saa.e se bhī mukartī huuñ
us kī tasvīr meñ 'suman' aksar
maiñ vafāoñ ke rañg bhartī huuñ