phir sūraj ne shahr pe apne qahr kā yuuñ āġhāz kiyā
jin jin ke lambe dāman the un kā ifshā raaz kiyā
zahr-e-nasīhat tīr-e-malāmat dars-e-haqīqat sab ne diye
ek vahī thā jis ne merī har aadat par naaz kiyā
naqd-e-ta.alluq ḳhuub kamāyā lekin ḳharch are tauba
ye to batāo kal kī ḳhātir kyā kuchh pas-andāz kiyā
shahr meñ is kaifiyat kā hai kaun muharrik kuchh to kaho
jis kaifiyat ne tum ko dīvānoñ meñ mumtāz kiyā
kū-e-malāmat ke bāshinde tum ko sajda karte haiñ
kis ne is bastī meñ āḳhir aise sar-afrāz kiyā
dehlī meñ rahnā hai agar to tarz-e-mīr zarūrī hai
us ne bhī to ishq kiyā phir yaañ rahnā āġhāz kiyā
pahle uḌne kī dāvat dī tā-hadd-e-imkān 'sirāj'
phir jaane kyuuñ ḳhud hī us ne qat.a par-e-parvāz kiyā