jhukā ke sar ko chalnā jis jagah kā qā.eda thā
mire sar kī bulandī se vahāñ mahshar bapā thā
qusūr-e-be-ḳhudī meñ jis ko suulī dī ga.ī hai
hamāre hī qabīle kā vo tanhā sar-phirā thā
use jis shab madhur āvāz meñ gaanā thā lāzim
rivāyat hai ki us shab bhī parinda chup rahā thā
farishte dam-ba-ḳhud ḳhā.if sarāsīma fazā thī
Hujūm-e-gumrahāñ thā aur ḳhudā kā sāmnā thā
musāfir jis ke rukne kī tavaqqo thī zyāda
na jaane kyuuñ bahut jaldī safar par chal diyā thā