Siraj Ajmali

wo talluq zindagi jis mein raha bil-wasta main

Siraj Ajmali

vo ta.alluq zindagī jis meñ rahā bil-vāsta maiñ
us samet ik din sipurd-e-tāq-e-nisyāñ ho gayā maiñ
bas yahī mausam thā aisā hī samāñ thā yaad hogā
tāq-e-jāñ meñ sham.a ik raushan huī aur bujh gayā maiñ
ek din aisā ki thī qurbān us par jaañ sī shai bhī
ek din rone lagā ik shaḳhs se bā-qā.edā meñ
dāstān-e-ġham mirī sunñe ko ik sāme.a milā jab
qahqahe pahle lagā.e aur phir chup ho gayā maiñ
shām-e-mimbar par fazīlat ke bahut sanjīda farhāñ
sub.h-dam afsurdagī ke farsh par bikhrā huā maiñ
vāpsī kī raah kyuuñ miltī nahīñ hai saath vaalo
garche is bāzār meñ aayā gayā huuñ bārhā maiñ
Top Urdushayar.com