samundaroñ meñ sarāb aur ḳhushkiyoñ meñ girdāb dekhtā hai
vo jāgte aur raah chalte ajab ajab ḳhvāb dekhtā hai
kabhī to rishtoñ ko ḳhuun ke bhī fareb-e-vahm-o-gumān samjhā
kabhī vo narġhe meñ dushmanoñ ke hujūm-e-ahbāb dekhtā hai
shanāvarī raas aa.e aisī samundaroñ meñ hī ghar banā le
kabhī talāsh-e-guhar meñ apne ta.iiñ vo ġharqāb dekhtā hai
kabhī taqaddus-e-tavāf kā sā kare hai taarī vo jism o jaañ par
saroñ pe girtā huā kabhī lānatoñ kā mīzāb dekhtā hai