Siraj Ajmali

viran bahut hai KHwab-mahal jagte raho

Siraj Ajmali

vīrāñ bahut hai ḳhvāb-mahal jāgte raho
ham-sā.e meñ khaḌī hai ajal jāgte raho
jis par nisār nargis-e-shahlā kī tamkenat
vo aañkh is ghaḌī hai sajal jāgte raho
ye lamha-e-umīd bhī hai vaqt-e-ḳhauf bhī
hāsil na hogā is kā badal jāgte raho
jin bāzuoñ pe chāragarī kā madār thā
vo to kabhī ke ho ga.e shal jāgte raho
zehnoñ meñ thā irāda-e-shab-ḳhūn kal talak
ab ho rahā hai rū-ba-amal jāgte raho
jis raat meñ na hijr ho ne vasl 'ajmalī'
us raat meñ kahāñ kī ġhazal jāgte raho
Top Urdushayar.com