Siraj Ajmali

ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho

Siraj Ajmali

ba-zāhir jo nazar aate ho tum masrūr aisā kaise karte ho
batānā to sahī vīrāni-e-dil kā nazāra kaise karte ho
tumhārī ik adā to vāqa.ī tārīf ke qābil hai jān-e-man
maiñ shashdar huuñ ki us ko pyaar itnā be-tahāshā kaise karte ho
sunā hai log dariyā band kar lete haiñ kuuze meñ hunar hai ye
magar tum munsifī se ye kaho qatre ko dajla kaise karte ho
hamārī baat par vo kaan dhartā hī nahīñ hai Taal jaatā hai
tumheñ kyā kyā nahīñ hāsil kaho arz-e-tamannā kaise karte ho
ta.ajjub hai ta.alluq yaad rakhnā aur phir ārām se sonā
agar us ko bhulā paa.e nahīñ ab tak saverā kaise karte ho
tumhārī aah kā ye kaun sā andāz hai vāzeh nahīñ hotā
muamma ye nahīñ khultā ki tum dariyā ko sahrā kaise karte ho
Top Urdushayar.com