kyā dāstāñ thī pahle bayāñ hī nahīñ huī
phir yuuñ huā ki sub.h azaañ hī nahīñ huī
duniyā ki dāshta se zyāda na thī mujhe
yuuñ saarī umr fikr-e-ziyāñ hī nahīñ huī
gul-hā-e-lutf kā use ambār karnā thā
kam-baḳht aarzū ki javāñ hī nahīñ huī
tā-sub.h merī laash rahī be-kafan to kyā
bānū-e-shām nauha-kunāñ hī nahīñ huī