Saeed-ul-Zafar Chughtai

musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam

Saeed-ul-Zafar Chughtai

musavvir apne tasavvur kā DhūñDhtā hai davām
na jām-e-jam na visāl-e-sanam na shohrat-o-nām
hayāt jabr-e-musalsal hai tū hai jabr-shikan
har ek gaam pe āzādgī kā tujh ko salām
tasavvurāt ke phūloñ meñ rañg bhartā hai
haqīqatoñ kī kaḌī dhuup detī hai in.aam
sahar bhī hogī nasīm-e-sahar bhī gā.egī
magar ye raat mohabbat charāġh zahr ke jaam
sharāb pī bhī to pī chashm-e-mast saaqī se
magar chaḌhā.e piyā pe ġham-e-hayāt ke jaam
maiñ apnī sham.a jalātā rahā huuñ tauba par
maiñ apne sho.ale se hotā rahā huuñ garm-e-kalām
usī se mere rag-o-pai meñ ātish-e-sayyāl
usī se mere tasavvur ke ḳham meñ māh-e-tamām
Top Urdushayar.com