aalam ho qahr kā to laboñ par duā na ho
is ḳhāmushī pe maiñ bhī ye dekhūñ ki kyā na ho
ab to hamāre ahd meñ fir.auniyat ke beach
muusā vahī hai haath meñ jis ke asā na ho
bante haiñ zābte yahāñ hoñToñ pe qufl ke
patthar ye chāhte haiñ koī be-sadā na ho
aisā na ho ki ḳhvāb bhī jhaḌ jaa.eñ niiñd se
mausam yahāñ ho sard pa itnā ḳhafā na ho
ghabrā ke sab ujāloñ se kahne lage 'naved'
ham tīrgī meñ jaa.eñ to ik bhī diyā na ho