Siraj Aurangabadi

teri zulf zunnar ka tar hai

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
tirī zulf zunnār kā taar hai
ki jis taar meñ dil giraftār hai
karishme ke lashkar meñ vo shāh-e-husn
saf-e-ḳhūb-rūyāñ kā sardār hai
talattuf siiñ pūchhegā kab dard-e-dil
sitam-gar hai sarkash hai ayyār hai
jise dil-ḳharāshī nahīñ ishq kī
tarīq-e-mohabbat meñ be-kār hai
sajan lutf kar nargis-e-bāġh par
tirī chashm-e-mai-gūñ kā bīmār hai
shifā de mujhe marham-e-vasl suuñ
jigar par mire hijr kā vaar hai
shab-e-hijr meñ gul-badan ke 'sirāj'
nazar meñ mirī sham.a jiyūñ ḳhaar hai
Top Urdushayar.com